Sunday 26 June 2016

Dil Ki Lagi By DEWAAN WAHID


Dil Ki Lagi Ab Qaza Ban Gai Hai
Teri Bay-Rukhi Ab Qaza Ban Gai Hai

Rindo Say Shikwa He Kiya Baywafai
Baywafai He Ab Tu Wafa Ban Gai Hai

Shikwa Karo Bay-Rukhi Ka Na Un Se
K Un Ki Tu Ab Ya Adda Ban Gai Hai

K Na Aaain Gay Woh Iss Jahaan o Alam Mein
Key Manzil He Un-Ki Judda Ban Gai Hai

Nehi Deakhtay Woh Janib Humari
K Un-ki Nazar Bhi Khuda Ban Gai Hai

Aah Jo Nikli Mazloom Dil Se
Falak Par Woh Pohchi Dua Ban Gai Hai

Qadam Chan Par Tu Zameen Par Hain Nazrain
Duniya Yah Ab Kiya Se Kiya Ban Gai Hai

Na Ho Pori Kassay Tamana Yah WAHID
Kay Sayel Humari Nigaah Ban Gai Hain

      حضرت خواجہ پیر  صوفی عبدلواحد سلطان 


This Poem Beautiful Poet By Hazrat Khuwaja Sufi Abdul WAHID Sultan R.h
Book Name DEWAAN WAHID

ilam Ke 2 Thailay Ata Howay Hazrat Abu Huraira


Hum Say Ismail Bin Abi Awais Nay Biyaan Kiya Kaha Mujh Se Meray Bhai Abdul Hameed Nay Unho Nay Ibn Abi Zaib Say Unho Nay Saeed Muqbra Say Or Unho Nay Hazrat Abu Huraira R.z Say Kaha Mein Hazrat Muhammad Mustafa S.A.W Say ilam Kay 2 Thailay Seakhay. Yani 2 Tarah Kay ilam Hasil Kiay  1 Ko Mein Nay Logo May Phaila Diya Or Dosray Ko Agar May Phalao Tu Mera Baloom Kat Dala Jay Ga Imam Bukhari R.h Nay Kaha  Baloom Woh hai Jiss Say Khana Neachay Utarta Hai...

SafaNo156 Hadees Number 120 Bab Number 84Kitaab ul ilam

Saturday 25 June 2016

Mohhbat Kay Wadday By Dewaan Wahid


Mohhbat Kay Wadday Ya Qasmain Waffa Ki
Tumahain Kiya Pata Nibhatay Hain Kassay
Khiyalo Mein Rehtay Hain Jo Sirf Apnay
 Wafao Ki Duniya May Aatay Hain Kassay

      حضرت خواجہ پیر  صوفی عبدلواحد سلطان 

Wednesday 22 June 2016

Beautiful Poet Hazrat Khuwaja Sufi Abdul Wahid Sultan

Le Kar Woh Dil Humara Anjaan Ban Gaya Hai
Iss Dil May Basnay Wala Mehman Ban Gaya Hai

Hanstay Howay Kabhi Jo Apna Kaha Tha Humko
Apni To Zindagi Ka Paymaan Ban Gaya

Logo Say Miltay Miltay Hum Pe Bhi Aik Nazar Ho
Teri Nazar May Rehna Armaan Ban Gaya Hai

Tara Bay-Rukhi say Kehna Humain na Tum Youn Sattao
Mere Liya Tu Yah Bhi Farmaan Ban Gaya Hai

Taray Bharam Ki Khatir Sab Kuch Louta Kay Deakho
Ustaad Tha Magar Ab Shitaan Ban Gaya Hai

Tareef Likhtay Likhtay Taray Hussan Bay Panah Ki
Kalma Tha Jo Kabhi Woh Quran Ban Gaya Hai

Sorat Garo May Rehna Unko Bura Na Kehna
WAHID Ka Ab Tu Yah Bhi Imaan Ban Gaya Hai
 
      حضرت خواجہ پیر  صوفی عبدلواحد سلطان 
 



Aay Sehar Gharnata Aay Diyaar Salateen DEWAAN WAHID



Aay Sehar Gharnata Aay Diyaar Salateen e Hasham
Iss Duniya Mein Tu Ahad Rafta Ka Ameen Hai

Tu Nay Daman May Samoiya Umanday Howay Tufano Ko
Khone Insan May Deakha Doobay Howay Insano Ko

Tu Ain He Bikhri Howi Yadon Ki Zameen Hai
Gonja Tha Jo Nara Taray Darbaro May Kabhi

Lehraiya tha Jo Parcham Taray Minaaro May Kabhi
Woh Gunj Woh Parcham Waqat Ki Sanso May Makeen Hai

Iss Khak Muqadas May Dafan hain Woh Janbazz
Aqal Insan say Bhi Aagay Thi Jin Ki Tang wa Taaz

Ain Ki Talwaro Say Nikli Howi Awaz Zamanay Nay Suni Hai
Taray Shafeeq Rang Baharo May Hai Laho Raqsa

Taray Gul Rang Nazaro May Hai Laho Raqsa
Iss Khune Muqadas Ka Faqat Tu He Ameen Hai

Shayad Abhi Bhola Nahi Hoga Woh Zamana Tujh Ko
Sheh Rag Kay Laho Say Diya Tha Aik Gusaal Shahana Tujko
Iss Ghusal say Ab Tak Teri Roshan Zabeen Hai

      حضرت خواجہ پیر  صوفی عبدلواحد سلطان 

Tuesday 21 June 2016

Teri He Tamana Mein Aay Dewaan WAHID


Teri He Tamana Mein Aay Thay Sar Manzil
Tu Nahi Manzil Pe Tu Kiya Karin Manzil Ko

Iss Dil May Faqat Yadain Tari He Samaai Hain
Yadain Nahi Baqi Tu Hum Kiya Karin Iss Dil Ko

Hai Pholo May Khushbo Bhi Taray Paseenay Ki
Jiss Main Nahi Shamil Tu Hum Kiya Karin Iss Gull Ko

Tofaan He Achay Hain Rehnay Do yaheen Mujh Ko
Jab Dil He Nahi Manay Tu Hum Kiya Karin Sahil Ko

Bus Taray Liya He Hum Saqi Banay Phirtay
Jab Tu He Nahi Aaya Tu Kiya Karin Mahfil Ko

Dewaan WAHID

      حضرت خواجہ پیر  صوفی عبدلواحد سلطان 

Ab Tu Aajao Khudara By Dewaan Wahid



Dam Hai Labo Pe Ab Tu Aajao Khudara
Aankhain Ya Deakhti Hain Bus Rasta Tumahra 

Tofaan e Hasrato Nay Neya Meri Dabo Di
Har Simat Tujh Ko Dhunda Har Gam Pe Pukara

Jewan Ki Doriu May Kuch Iss Tarah Bandhay Hain
Gir Gir Kar Har Qadam Pe Uthna Para Dobara 

Sahil Ki Thokro Mein Khufta Itnay Tofaan
Iss Zindagi May Shayad Hum Deakhain Na Kinara

Jiss Phool Kay Faraq May Bulbul Ha Noha khha
Khone Say Jigar Say Hum Nay Woh Phool Hai Sanwara

Tum Door Thay Tu Hasratin Lipti Rahi Humain
Nazdeek Aaay Ho Tu Nahi Bolnay Ka Yaara

Socha Hai May Kasho Nay May Khana Lout Lain Gay
Deakhain Gay SAQI Ab Hum Hosla Tumahra

DEWAAN E WAHID
      حضرت خواجہ پیر  صوفی عبدلواحد سلطان 

Hoti hai meri fitrat DEWAAN WAHID




...



Hoti hai meri fitrat ko rasaai kabhi youn bhi,
tamasha nazar aata hai tamashaai kabhi youn bhi,

Har rait ka zarra mujhe deta hai sadaein,
Beparda chale aao mere bhaai kabhi youn bhi,

aata nahin mujh ko nazar mere siwa koi,
Ye sehra ye chaman dete hain dikhaai kabhi youn bhi,

Ja sakta nahin tere kooche se aa ke kabhi,
Hai shauq ne zanjeer pehnaai kabhi youn bhi,

Tu mujh se alag hai na mujh se juda hai,
Aawaz ye deti hai sunaai kabhi youn bhi,

Ka'bay mein nazar aate hain aksar mujhe hindu,
Nazara ye dikhati hai shanasaai kabhi youn bhi,

'Wahid' bhi kabhi mera 'Wahid' nahin rehta,
Hoti hai kabhi Aadam ki jalwanumaai kabhi youn bhi....!
DIWAN-E-WAHID


      حضرت خواجہ پیر  صوفی عبدلواحد سلطان

 

Woh To Hai ik Haqiqat DEWAAN WAHID


http://haq-mojood.blogspot.com/2016/06/woh-to-hai-ik-haqiqat-dewaan-wahid.html




 Woh to hai ik haqeeqat WAHID woh khuda hai
Ay gumaan ke poojari tu kis ko poojta hai

Ghafil na ho to khud se Us se na tu juda hai
Aadam misal hai tu tou mazhar-e-kul howa hai

Aaina bana ke tujh ko woh khud ko dekkhta hai
Tu noor hai azzal ka kyun khud ko bhoolta hai

Tu gar gunnah na karta woh rahim kesay banta
Nazaan ho tu us par ke tu hi purkhata hai

Teri khatta nein tujh ko banaya hai sub se ashraf,
Har shai pe woh hai qadir phir kya teri khatta hai,

Bande mein aa ke khud he sub ko jhuka diya hai,
Abd-o-Mabood kya hai sub ko bata diya hai,

khud ko bulaya khud hi lamakaan ki khatir
Shahid wa mash-hood aik hai sub ko dikkha diya hai

Ehsan kya chukaaen teray karam ka saaqi
Thi doobne ko kashti saahil woh ban gaya hai

Aae gummaan ke poojari tu kis ko poojta hai
Woh to hai ik haqeeqat, WAHID woh khuda hai
DIWAN-E-WAHID
      حضرت خواجہ پیر  صوفی عبدلواحد سلطان 

Ishq Ka Payember By Dewaan Wahid


میں ہوں عشق کا پیمبر مجھے اذان یہ ملا ہے
بھر بھر کے جام دے دے درِ میکدہ کھلا ہے

 
آئے اگر سوالی عامی ہو چاہے عالی
سب کو نواز دے تو تیرا یار کہہ رہا ہے

 
یہ جہانِ رنگ و بو تھا مدت سے یونہی ویراں
تو جو آگیا جہاں میں اسے مرتبہ ملا ہے

 
چہرے گلاب جیسے مہریں لگی ہوئیں ہیں
صورت ہے یہ خدا کی ہر اک پہ یہ لکھا ہے

 
شبنم گلاب سے ہے بوس و کنار کرتی
خلد بریں سے نغمے یہ کون گا رہا ہے

 
مجھے لے چلو اے یارو گر ہو سکے یہ تم سے
اُس بادشاہ کی بستی جہاں عشق بادشاہ ہے

 
گزری ہے عمر میری عشقِ بتاں میں ساری
تیرا کرم ہے مجھ پہ جو یہ مرتبہ ملا ہے

 
دیر و حرم کے قصے نہ سنا ہمیں تو واعظ
حوروں پہ مر رہا ہے عقدہ یہ اب کھلا ہے

 
تجھے دیکھنے کی خاطر آئے ہیں سارے عرشی
تجھے دیکھ کر سبھی نے صلےٰ علیٰ کہا ہے

 
آنکھوں کو بند کرکے کسے ڈھونڈتا ہے جاہل
پردہ اٹھا تو اپنا تو ہی تو خود خدا ہے

 
آنکھیں گواہ رکھنا خود پہ نگاہ رکھنا
یہ فقرِ کاملی ہے ڈنکا یہ بج رہا ہے

      حضرت خواجہ پیر  صوفی عبدلواحد سلطان 

Sunday 19 June 2016

Hazrat e Ishq Nay Machiya Shore Dewaan Wahid


...


Hazrat e Ishq Nay Machiya Shore
Na Koi Banda Na Koi Hoor

Puthi Khal Lawainda Mey Haan
Aaray Wich Charwanday Mey Haan
Arsh Uthay Sadwanda Mey Hain


Hazrat e Ishq Nay Machiya Shore
Na Koi Banda Na Koi Hoor


 Nangay Sar Hathli Nachday
Raja Bhooj Tay Teeli Nachday
Saray Yaar Tay Beli Nachday
Maray Hath Wich Sab Di Door

Hazrat e Ishq Nay Machiya Shore
Na Koi Banda Na Koi Hoor

Mein Tay Dhool Baja Kay Aya
Pora Pankh Racha Kay Aya
Sara Pankh Muka kay Aya

Hazrat e Ishq Nay Machiya Shore
Na Koi Banda Na Koi Hoor

Saray Jag Bhi Thusda May Haan
Saray Raaz Dasanda May Haan
Ilam Amal Khasda b May Haan
Mein Pochanda Sab Nu Toorh

Hazrat e Ishq Nay Machiya Shore
Na Koi Banda Na Koi Hoor

Ram Tay Lakshman Kalay Reh Gay
Sitta Ji Ko Raadan Laay Gaaay
Huniman Bhi Eeho Keh Gaay
Ishq ha Mera Wakhri Toor

Hazrat e Ishq Nay Machiya Shore
Na Koi Banda Na Koi Hoor

Kachi Kach Da Waali Mein Haan
Heer Ta Laila Kaali Mein Haan
 Har Bhar Tay Khushali Mein Haan
Takht Hazara day Bhan Mangoor

Hazrat e Ishq Nay Machiya Shore
Na Koi Banda Na Koi Hoor

      حضرت خواجہ پیر  صوفی عبدلواحد سلطان 


Saturday 18 June 2016

Muhammad Muhammad Great Naat By Dewaan Wahid



محمدؐ محمدؐ وظیفہ ہے ساڈا
ایہو کم خدا دا ایہو کم اساڈا

 
نہ تسبیح مصلہ نہ سجدہ ہے ساڈا
سونڑھیں کوں ڈیکھنڑ ایہو ساڈی چال اے

 
ایہو ساڈا بولنڑ ایہو ساڈی گال اے
اٹھڈیں تے بہدیں ایہوں کم ہے ساڈا

 
محمدؐ محمدؐ وظیفہ ہے ساڈا
محمدؐ محمدؐ کریندے ریہے ہیں

 
ایہو نقش ول ول پکیندے ریہے ہیں
نہ تسبیح مصلہ نہ سجدہ ہے ساڈا


محمدؐ محمدؐ وظیفہ ہے ساڈا
محمود کیا ہے مقام او کتھاں ہے

 
جے او لامکاں ہے مکیں ول کتھاں ہے
ایں نقطے دا عارف مرشد ہے ساڈا ہے

 
محمدؐ محمدؐ وظیفہ ہے ساڈا
او عرشاں تے چایا تے فرشاں تے آیا

 
او لجپال دلبر دلبر ہے ساڈا
محمدؐ محمدؐ وظیفہ ہے ساڈا

 
نہیں کوئی صورت نہیں کوئی مورت
خدا خود ہے آیا محمدؐ دی صورت


محمدؐ ہے کامل صنم اے ہے ساڈا
محمدؐ محمدؐ وظیفہ ہے ساڈا

کہیں دل ڈتا ہے تے عزت کہیں نے
کہیں سر ڈتا ہے تے دولت کہیں نے

اے اکبر تے اصغر اے صدقہ ہے ساڈا
محمدؐ محمدؐ وظیفہ ہے ساڈا

ساڈے کول بہسو کہیں دے نہ راہسو
مولا نظر سی آ سو تے پا سو

رب کوں ملاونڑ یہو کم ہے ساڈا
محمدؐ محمدؐ وظیفہ ہے ساڈا

ہر کول وسدے نہ ہر تو جدا اے
محمد اساڈا تے ساگی خدا ہے

ایندے در تے سجدہ ایہو کم ہے ساڈا
محمدؐ محمدؐ وظیفہ ہے ساڈا


      حضرت خواجہ پیر  صوفی عبدلواحد سلطان 

Friday 17 June 2016

Le Kar Woh Dil Humara By Dewaan Wahid




لے  کر وہ دل  ہمارا  انجان بن گیا ہے
 اس دل میں بسنے والا مہمان بن گیا ہے

ہنستے ہوئے کبھی جو اپنا کہا تھا ہم کو
اپنی  تو زندگی  کا پیمان  بن گیا    ہے

لوگوں سے ملتے ملتے ہم پہ بھی اک نظر ہو
تیری  نظر  میں رہنا  ارمان  بن گیا  ہے

تیرا بے رخی سے کہنا ہمیں یوں نہ تم ستاؤ
میرے  لئے  تو یہ بھی  فرمان  بن گیا ہے

تیرے بھرم کی خاطر سب کچھ لٹا کے دیکھو
استاد  تھا  مگر اب   شیطان   بن  گیا   ہے

تعریف لکھتے لکھتے تیرے حسنِ بے پناہ کی
کلمہ تھا  جو  کبھی  وہ   قرآن   بن   گیا  ہے

صورت  گروں  میں رہنا ان کو برا نہ کہنا
واحِدؔ  کا  اب تو یہ بھی  ایمان  بن  گیا  ہے
      حضرت خواجہ پیر  صوفی عبدلواحد سلطان 

Thursday 16 June 2016

Great Poen By Dewaan WAHID






Sufi hon main safa jaanta hon main,
Maqtal mein hon aur saza jaanta hon main,

Main jhoomta hon wajd mein karta hon raqs main,
Toofaan mein bhi khud ko pehchaanta hon main,


Dunia mein kaun hai jo ho mera raazdaar,
Raazon ko apne sirf jaanta hon main,


Kis ko bataon main, Aalam hi nirala hai,
Koi jaanta nahin hai jo jaanta hon main,


Chalta hon raah apni 'Wahid' bana howa hon,
Rahoon ko apni sirf pehchaanta hon main.......!

Jab Bhi Uthi Nigah By Dewaan Wahid


سہہ سہہ کے ظلم جب بھی اٹھی نگاہ ہماری
اپنے ہی سب  ملے ہیں بے  گانے چھوڑ کر


شمع  رہی  ہے  روتی  کل  شب  تمام  شب
شاید  چلے  گئے  ہیں  پروانے  چھوڑ  کر


جانے مے کشوں کے کیا ہے سمائی دل میں
کعبہ  کو  دوڑتے  ہیں  بتخانے  چھوڑ  کر


ساقی تیرے  خلوص  کی  کچھ  قدر ہی نہیں
مے خار  چل  دئیے ہیں  پیمارنے چھوڑ کر


 حضرت خواجہ پیر  صوفی عبدلواحد سلطان

Iss Shoq Tamana By Dewaan Wahid

اس  شوق  تمنا میں  کس منزل   سے  گذر آئے
اک بار  تو پوچھیں  وہ کیوں   آنکھ  برستی ہے

ساقی کی نگاہوں میں کیا دیکھا ہے مے کش نے
ہونٹوں پہ تو آہیں ہیں پر  آنکھوں میں مستی ہے
   حضرت خواجہ پیر  صوفی عبدلواحد سلطان

Dam Hai Labo Pe Aajao Khudara By Dewaan WAHID


دَم ہے لبوں پہ اپنا آ جاؤ اب خدارا
آنکھیں یہ دیکھتی ہیں بس راستہ تمہارا

طوفانِ حسرتوں نے نیا میری ڈبو دی
ہر سمت تجھ کو ڈھونڈا ہر گام پہ پکارا

جیون کی ڈوریوں میں کچھ اس طرح بندھے ہیں
گِر گِر   کے  ہر قدم   پر اٹھنا پڑا   دوبارا

ساحل کی ٹھوکروں میں خفتہ ہیں اتنے طوفاں
اس زندگی میں شاید دیکھیں نہ ہم کنارا

جس پھول کے فراق میں بلبل ہے نوحہ خواں
خون جگر سے ہم نے وہ پھول ہے سنوارا

تم دور تھے تو حسرتیں لپٹی رہیں ہمیں
نزدیک آئے ہو تو نہیں بولنے کا یارا

سوچا ہے مئے کشوں نے مئے خانہ لوٹ لیں گے
دیکھیں گے ساقی اب ہم حوصلہ تمہارا

        حضرت خواجہ پیر  صوفی عبدلواحد سلطان

Man kunto Maula Bu Ameer Khusru

 
 Man kunto Maula
Fa Ali-ul Maula
Dara dil-e dara dil-e dar-e daani
Hum tum tanana nana
Nana nana ray
Yalali yalali yala
Yala yala ray…

Tara Din Tara Din Tari Ra Ray

Man kunto Maula Fahaza Ali Moula

~ By Ameer Khusro









Great Sufi Poet Ve mahiya tere vekhan nu




/




Ve mahiya tere vekhan nu, chuk charkha gali de vich panwa,
Oh Beloved, to get your glimpse,
I have placed the charkha in the lane outside,

Ve loka paane main kat di, tang teriya yaad de panwa.
People may think I am spinning the threads of cotton,
But I am truly spinning the thread of your memories.

Charkhe di oo kar de ole, yaad teri da tumba bole.
I put the charka aside in the shade
The music of your memories rings in my heart.

ve nimma nimma geet ched ke, tang kath di hullare panwa
Humming along the song slowly,
I am spinning gently, the joy when we meet.

vasan ni de rahe saure peke, mainu tere pain pulekhe,
our relatives don't let me rest at ease,
But I keep getting the feeling that you've come.

ve hoon mainu das mahiya, tere baaju kidhar main jayiyaan.
Oh darling, I ask you this,
If I don't go to you then were do I go !

ho eid aayi, mera yaar na aaya, tera ve khair hove ove tamd,
The day of celebrations(eid) has come,
but my beloved hasn't come,

haar shingar change nai lagde, ho kisi cheez pe nazar na jamdi,
The jewellery and the colors don't seem pretty,
Nothing around interests me,

sukha waalian needra mangne, yaar mile to main eid manva, bina yaar de eid na gamdi.
I only pray for a night of peaceful sleep,
Let my love come and I would celebrate Eid,
For without my love eid does not feel like eid

Tum hi ho dard be darma ka darma Ya Rasool Allah


Tum Hi Ho Dard Be Darma Ka Darma Ya Rasool Allah

Tum Hi Ho Be Saro Sama Ka Sama Ya Rasool Allah

 

Jo Ho Qismat Mein Maray Ap Mehmah Ya Rasool Allah

Nichawar Ap Pe Kardo Dil O Jan Ya Rasool Allah

 

Hai Meri Zindagi Tum Se Hai Meri Bandagi Tum Se

Tum He Ho Mara Deen Or Mara Imaan Ya Rasool Allah

 

Suna Hai App Har Aashiq Kay Ghar Tashreef Latay Hain

Maray Ghar May Bhi Hojay Churagah Ya Rasool Allah

 

Hazaro Ko Ata Ki Do Jahaan Ki Tum Nay Sultani

Karam Lilaah Bar Haal E Ghareeba Ya Rasool Allah

 

Barooz Hashar Maray Iss Yaqeen ki Laaj Rakh Laina

Tumara Hon Tumara Hon Tumara Ya Rasool Allah


Ajj Mahfil Saji Hai By Dewaan WAHID R.H



...
/





Ajj Mahfil Saji Hai Pila Saqiya
Jam Gardish May Aasa Tu La Saqiya
Ajj Sajdo Pe Sajday Karin Ru ba Ru
Parda Ankho Say Sab Kay Utha Saqiya


Khud Ko Deakhain Magar Khud Na Ay Nazar
Har Taraf Har Jaga Tu He  Aay Nazar
Barmala Aaj Deakhain Khuda Sar Basar
Aasi Masti Tu Hum Pay Charha Saqiya


Darmiya Parda e   Aan o Ee Na Rahay 
Aaj Koi Makan O Makeen Na Rahay
Buss Sajda Rahay Or Jabeen Na Rahay
Jalwa Aasa Tu Sab Ko Deakha Saqiya


Dast E Bosi Milay Do Sharabain Milain
Band Kaliya Dilo Ki Chatak Kar Khilain
Tu Un Say Milay Hum Tum Say Milain
Ajj WAHID Se Sab Ko Mila Saqiyaa

Ajj Mahfil Saji Hai Pila Saqiya
Jam Gardish May Aasa Tu La Saqiya
Ajj Sajdo Pe Sajday Karin Ru ba Ru
Parda Ankho Say Sab Kay Utha Saqiya

       حضرت خواجہ پیر  صوفی عبدلواحد سلطان

Moabbat Ki Rasmain By Dewaan WAHID R.H


...





 Moabbat Ki Rasmain Aada Kar Rahay Hain
Jo Wadday Kiay Thay Wafa Kar Rahay Hain
Sikasta Diloo ki Dawa Kar Rahay Hain
Waffa Kar Rahay Hain Duaa Kar Rahay Hain


Ya Noori Hazoori Ya Arshoo Kay Waali 
Ya Sab Lamakani Ya Sab Log Aaali
Ya Ishq Nabi May Sarshar Bethay
Namaz Mohabbat Aada Kar Rahay Hain



 Hussan o Jawani  Ya Rangeen Do Shalay
Ya Sab Kar Chukaay Hain Khuda kay Hawalay
Jurm o Gunnah Ka Nehi Hosh Ain Ko
Farzo ko Apnay Aada Kar Rahay Hain



Ya FardOr Banday Ya Nabiu Say Wasil
Qurb Fraaiz Hai Ain Sab Ko Hasil
Logo May Shamil Ya Logo Say Ghafil
Khud Apna Khud Ko Gawah Kar Rahay Hain


Ya Rindo Ki Basti Aiya Raaz e Hassti
Yahaan Beh Rahi Hai Sharab Alassti
Ya Abid Ya Zahid Ya Aami Ya Aarif
Ya Rindo Ki Basti May Kiya Kar Rahay Hain


Mohabbat May Kamil Akmal Ya WAHID
Azal Say Abad Tak Haqaaiq Kay Shahid
Apnay Khudao Kay Sab Log Abid
Sajdo Pe Sajday Aada Kar Rahay Hain


WAHID Ko Sajda Rawa Ha Azal Saay
Sufi ko Matlab Kiya Hai Amal  Say
Nahi Hain Jo Waqif Khuda Kay Fazal Se
Namazo May Apni Gunnah Kar Rahay Hain

       حضرت خواجہ پیر  صوفی عبدلواحد سلطان

Wednesday 15 June 2016

Jab Deakha Aik Surat e Insani hai By Dewaan Wahid



واحد   ہو   خدا  ہو   یا  خداوند   ہمیں   کیا مطلب
ہم نے تو تمہیں جب دیکھا اک صورت انسانی  ہے

       حضرت خواجہ پیر  صوفی عبدلواحد سلطان

Sunder Roop Suhana Mera By Dewaan Wahid R.H


سندر روپ   سہانا میرا      سارے جگ کا پالک ہوں
روپ سروپ کی دنیا  میری    میں ہی چاکر ملک ہوں
اپنی آپ کرو میں   سیوا لکشمن   رام  اور  خالق  ہوں
کامل گرو  کے پاؤں پڑوں تو واحد ہوں اور سالک ہوں  

       حضرت خواجہ پیر  صوفی عبدلواحد سلطان

Dhundo Gaay Agar Malko Malko By Dewaan Wahid R.H


Dhundo Gaay Agar Malko Malko
Milnay Kay Nahi Niyaab Hain Hum

      حضرت خواجہ پیر  صوفی عبدلواحد سلطان

Isshq Badshah Haai Dewaan Wahid


Mujhe Lay Chalo Aay Yaro Gar Ho Sakay Ya Tum Say
Iss Badshah Ki Bassti Jahaan Isshq Badshah Haai

      حضرت خواجہ پیر  صوفی عبدلواحد سلطان

Tujhay Dhundnay Ki Khatir By Dewaan Wahid


The Great Poem 

Tujhay Dhundnay Ki Khatir Churagho Ki Kiya Zarorat
Teri Khusbo he Bohat Hai Meri Rehbari Ki Khatir

      حضرت خواجہ پیر  صوفی عبدلواحد سلطان 


The Great Poem Namaz Kiya Hoti Hai?

   

Parhnay Nahi Hukam Yah Tu Aada Hoti Hai
Ja Poch Shabeer Say Namaz Kiya Hoti Hai
Karna Parta Hai Wazu Apnay Lahoo Say
Tab Ja k Kaheen Ya Namaz Aada Hoti Hai 

   حضرت خواجہ پیر صوفی عبدلواحد سلطان


Haidriyam Qalandram Mastamm


Haidriyam  Qalandram  Mastamm
Banda e Murtaza Ali  Hastaamm


Paiswaay  Tamaamm  Rindanamm
Kah Sagh Koh e Sair Yazdanamm



Maan Baghair Az Ali Na Danistam
Hu wal Aala Hu Wal Ali Guftaam

Ghair Haider Agar Hami Daani
Kafri wa Yahood wa  Nasraani


Shahbaz ey Fizaay Lahootam
Mast Sahba ey Murtaza Hastam

Aay Sanam Tu Meri Jan ki Jan Hai



Aay Sanam Tu Meri Jan ki Jan Hai
Tu He Qibla Mera Tu He Imaan Hai
Tu Mila Tu Mila Rah e Haq Ka Pata 
Mara Sab Kuch Sanam Tuj Pe Qurban ha


Deakh kar Unko Hum Deakhtay Rah Gaay
Rooh e Mahboob Tafseer e Quran Haii
Tujh say Phallay Mujay Janta Kon Tha
Teri Nisbat Say Duniya May Pehchan hai



 Tumahray Daman say Nisbatain Hain
Tu Phir humain Kiya Kami Rahay Gii
Rahay Tumara Karam Salamat....
Humari Jholi Bhari Rahay Gi...

 
Aay Sanam Tu Meri Jan ki Jan Hai
Tu He Qibla Mera Tu He Imaan Hai
Tu Mila Tu Mila Rah e Haq Ka Pata 
Mara Sab Kuch Sanam Tuj Pe Qurban ha


HAQ MOJOOD BY MANJHI FAQEER


Sufi Hun Meh Raqas Hun The Great Poet

            صوفی ہوں محو  رقص ہوں  مجھے  کون  جانتا  ہے
             مومن  ہوں  بت پرست  ہوں  مجھے کون  جانتا  ہے 

...


Sufi Hun Mehv Raqs Hun Mujay Kon Janta hai
Momin Hun Boot Parast Hun Mujhe Kon Janta hai


Sajda Karo To Momin Gar Na Karo To Kafir
Mulhad Hun Baynawa Hun Mujhe Kon Janta Hai


Gar Hosh May Raho Tu Kehtay Hain Mujh Ko Banda
Jab Hosh May Nehi Hun Mujhe Kon Janta Hai


 Karta Hun Sair Apni Rehta Hun Apnay Andar
Mein Sab Ko Janta Hun Mujhe Kon Janta Hai


Raqsa Hon Maqaday Mein Sagar Bana Howa Hun
Khud May He Pee Raha Hun Mujhe Kon Janta Hai


Hun Gharq Dar Malamat Chu Qatra Dar Samandar
Sar e Daar Nachta Hun Mujay Kon Janta Hai


Jahil Kehay ya Duniya Aalim Nahi Raha Hun
Zulmat May Bass Raha Hun Mujhe Kon Janta Hai


 WAHID Kabhi Raha Tha Wahadat May Bas Raha Tha
Qasrat May Aa Gaya Hun Mujhe Kon Janta Hai

Milay Fursat Jo Yaado Se Great Poetry



   ملے فرصت جو  یادو ں سے  تو  سوچیں  ہم  زمانے کو
          وفا  جب    روٹھ جاے     تو     کہاں  جاے منانے  کو

تمہیں جب وقت  مل  جاے ہمیں آواز  دے  لینا
کہاں  جاؤ  گے  مقتل  میں  یہ خنجر   آزمانے   کو  

تمہاری یاد  سے  ہر  پل  میں  غافل تو  نہیں  رہتا
یہ ہی تو  کام آتی  ہے  مریضو ں کے  سلانے  کو 

تمہیں   غصے میں  دیکھا  تو      لبو ں کو  سی لیا  ورنہ
فسانے  تھے  بہت  لمبے ہمارے  بھی  سنانے  کو

یو  ں ہی ہر  وقت  یہ دیوانگی  اچھی  نہیں  واحد
بڑا ہی  وقت  لگتا  ہے  زمانے  کے  بنانے  کو
 

   حضرت خواجہ پیر صوفی عبدلواحد سلطان

Mahfil Mein Dilbaro Ki Jab Bhi Howa Guzar





محفل  میں  دلبرو  کی جب بھی ہوا گزر 
  شدت سے یاد آئی  تیری محفل  کی  رونقیں
      حضرت خواجہ پیر  صوفی عبدلواحد سلطان



Kallam Hazrat Khuwaja Peer Sufi Abdul Wahid R.H


Mein Malik e Konain Hon Mujh say Jahaan Abad Hai
Kun say Phallay Ki Ya Duniya Meri He Dam Saz Hai
Aflaak hain Zer Nageen Gardo Pe Mara Raaj Hai
Iss Jahaan May La Makah may Meri He Parwaz Hai


Mein He Awal Mein He Aakhir Mein hun Zahir Barmala
Mujh se Hai Sara Zamana Main Hun Zaat e Kibriya
Jannet Dozakh Ki Ya Duniya Mara He Ail Raaz hai
Kun say Phallay Ki Ya Duniya Meri He Dam Saz Hai


Madan e Makhfi Say Tha Jo Nageen Bahir Howa
Mein nay Badla Bhais To Ya Jahaan Zahir Howa
Iss Jahaan ki Jaan Jo Ha Meri He Awaz Hai
Kun say Phallay Ki Ya Duniya Meri He Dam Saz Hai


Mein Hun Naaz Dilbara Mahboob Rab e Aashqa
Mein Hun Taaj Sarwara Mein Faqeer e Natawa
Arsh Kursi Ka Ya Malik Mara he Humraaz Hau
Kun say Phallay Ki Ya Duniya Meri He Dam Saz Hai


Tu kehay Jiss Ko Khuda Woh Khuda Mein he To Hun
Tu Kehay Jiss Ko Juda Woh Juda Mein He To Hun
Koi Jo Kuch Bhi Kehay Ga Meri He Awaaz  Haai
Kun say Phallay Ki Ya Duniya Meri He Dam Saz Hai


Shan Awal Meri ha Or Shan Aakhir Mujh Se haai
Main Kabhi Kuch Bhi Nahi Phir Bhi Sab Mujh say ha
Dil May Bajta Hai Jo Har Dam Mara He Aik Saaz Hai
Kun say Phallay Ki Ya Duniya Meri He Dam Saz Hai


Mein Chuppa Zahir Howa Zahir Ho Kar Chup Gaya
May He Wahid May Muhammad Peer e Kamil Ban Gaya
Main Nay He Duniya Sajaai Ya Mara Andaaz Haiii
Kun say Phallay Ki Ya Duniya Meri He Dam Saz Hai

 Hazrat Khuwaja Peer Sufi Abdul Wahid Sultan R.H