Woh to hai ik haqeeqat WAHID woh khuda hai
Ay gumaan ke poojari tu kis ko poojta hai
Ghafil na ho to khud se Us se na tu juda hai
Aadam misal hai tu tou mazhar-e-kul howa hai
Aaina bana ke tujh ko woh khud ko dekkhta hai
Tu noor hai azzal ka kyun khud ko bhoolta hai
Tu gar gunnah na karta woh rahim kesay banta
Nazaan ho tu us par ke tu hi purkhata hai
Teri khatta nein tujh ko banaya hai sub se ashraf,
Har shai pe woh hai qadir phir kya teri khatta hai,
Bande mein aa ke khud he sub ko jhuka diya hai,
Abd-o-Mabood kya hai sub ko bata diya hai,
khud ko bulaya khud hi lamakaan ki khatir
Shahid wa mash-hood aik hai sub ko dikkha diya hai
Ehsan kya chukaaen teray karam ka saaqi
Thi doobne ko kashti saahil woh ban gaya hai
Aae gummaan ke poojari tu kis ko poojta hai
Woh to hai ik haqeeqat, WAHID woh khuda hai
DIWAN-E-WAHID

حضرت خواجہ پیر صوفی عبدلواحد سلطان
No comments:
Post a Comment