Thursday 16 June 2016





Sufi hon main safa jaanta hon main,
Maqtal mein hon aur saza jaanta hon main,

Main jhoomta hon wajd mein karta hon raqs main,
Toofaan mein bhi khud ko pehchaanta hon main,


Dunia mein kaun hai jo ho mera raazdaar,
Raazon ko apne sirf jaanta hon main,


Kis ko bataon main, Aalam hi nirala hai,
Koi jaanta nahin hai jo jaanta hon main,


Chalta hon raah apni 'Wahid' bana howa hon,
Rahoon ko apni sirf pehchaanta hon main.......!

No comments:

Post a Comment