Wednesday 22 June 2016

Aay Sehar Gharnata Aay Diyaar Salateen DEWAAN WAHID



Aay Sehar Gharnata Aay Diyaar Salateen e Hasham
Iss Duniya Mein Tu Ahad Rafta Ka Ameen Hai

Tu Nay Daman May Samoiya Umanday Howay Tufano Ko
Khone Insan May Deakha Doobay Howay Insano Ko

Tu Ain He Bikhri Howi Yadon Ki Zameen Hai
Gonja Tha Jo Nara Taray Darbaro May Kabhi

Lehraiya tha Jo Parcham Taray Minaaro May Kabhi
Woh Gunj Woh Parcham Waqat Ki Sanso May Makeen Hai

Iss Khak Muqadas May Dafan hain Woh Janbazz
Aqal Insan say Bhi Aagay Thi Jin Ki Tang wa Taaz

Ain Ki Talwaro Say Nikli Howi Awaz Zamanay Nay Suni Hai
Taray Shafeeq Rang Baharo May Hai Laho Raqsa

Taray Gul Rang Nazaro May Hai Laho Raqsa
Iss Khune Muqadas Ka Faqat Tu He Ameen Hai

Shayad Abhi Bhola Nahi Hoga Woh Zamana Tujh Ko
Sheh Rag Kay Laho Say Diya Tha Aik Gusaal Shahana Tujko
Iss Ghusal say Ab Tak Teri Roshan Zabeen Hai

      حضرت خواجہ پیر  صوفی عبدلواحد سلطان 

No comments:

Post a Comment